Hindi Sad Sms| Emotional Messages | Hindi Shayari

sad sms
Sadness is emotional pain associated with, or characterized by feelings of disadvantage, loss, despair, helplessness and sorrow. An individual experiencing sadness may become quiet or lethargic, and withdraw themselves from others. Crying is often an indication of sadness. About More:- 
► Jo hukm karta hai woh ilteja bhi karta hai,
Yeh aasman bhi jaake kahin pe jhukta hai,
Tu agar bewafa hai toh yeh buri khabar bhi sun le,
Mera intezaar koi aur bhi karta hai.

► Hum ne jab kiya dard-e-dil ko baya, to sher ban gaya,
Logo ne suna wah wah kiya, dard aur badh gaya.
Muhabbat ki paak rooh mere shero me hai,
Ek likha gam kam karne ke liye toh gam aur badh gaya.

► Unki galiyon se jab guzre toh manzar ajeeb tha,
Dard tha magar woh dil ke kareeb tha,
Jise hum dhundhte the apni haatho ki lakeeron me,
Woh kisi doosre ki kismat, kisi aur ka naseeb tha.

► Itna kuch khoya hume paana na aaya,
Pyaar kiya toh jatana na aaya,
Dil mein bas gaye woh pehli hi nazar mein,
Kasoor humara tha jo hume unke,
Dil mein samana na aaya.

► Kitna bebas hai insaan kismat ke aage,
Kitne door hain sapne haqueeqat ke aage,
Koi ruki hui dhadkan se puchhe,
Kitna tadapta hai dil muhabbat ke aage.

► Humse jyada koi bechain kya hoga,
Humse jyada koi betaab kya hoga,
Unki yaadon ko baahon mein lekar soye rahe,
Isse jyada unke pyaar ka jawaab kya hoga.

► Uski yaad me hum barso rote rahe,
Bewafa woh nikle badnaam hum hote rahe,
Mohabbat me madhoshi ka aalam toh dekhiye,
Dhool chehre par thi aur hum aaina dhote rahe.

► Khata ban gaya hai kisi se pyaar karna,
Saza ban gaya hai kisi pe aitbaar karna,
Sochta hun phir khwaab sajaun par dil kehta hai,
Kya tujhe achha lagta hai intezaar karna.

► Hume sulane ki khatir jab raat aati hai,
Hum so nahi paate raat khud so jaati hai,
Puchne par dil se yeh aawaaz aati hai,
Aaj unhe yaad kar le raat toh roj aati hai.

► Bikhre ashkon ke moti bana na sake,
Teri yaad mein sari raat so na sake,
Bheeg na jaye aansu mein tasweer teri,
Bas yehi soch kar hum ro na sake.

► Meri aadat ko woh samajh nahi paate,
Hum bhi unse kuch keh nahi paate,
Aye khuda na jaane yeh kaisa yaar de diya tune,
Jise yaad kiye bina hum reh nahi paate.

► Faasle mita kar aapas mein pyar rakhna,
Pyar ka rishta yun hi barkaraar rakhana,
Bichhar jayen kabhi aap se hum,
Toh aankho me hamesha hamara intezaar rakhna.

► Kisi ki dhadkan ke pichhe koi baat hoti hai
Har dard ke pichhe kisi ki yaad hoti hai
Aap ko pata na hoga sayad,
Apki har khushi ke pichhe humari faryaad hoti hai.

► Jane kyun itna yaad aate ho aap,
Jane kyun itna dil ko lubhate ho aap,
Aap se pyara koi “Dost” na milega kahin,
Kya isi liye itna bhav khate ho aap.

► Aap se jab humari yaari ho gayi,,
Duniya hamari aur bhi pyari ho gayi,,
Iss se pehle kisi bhi chiz ki aadat na thi,
Par ab aap ko yaad karne ki bimari si ho gayi.

► Talaash karo koi tumhe mil jayega,
Magar hamari tarha tumhe kaun chahega,
Zarur koi chahat ki nazar se tumhe dekhega,
Magar aankhein hamari kahan se layega.

► Pyar woh hame bepana kar gaye,
Fir zindagi mein hamko tanha kar gaye,
Chahat thi unke ishq mein fanaa hone ki,
Par woh laut kar aane ko bhi mana kar gaye.

► Ishq kar deta hai bekarar,
Bhar deta hai pathar dil me pyar,
Kyun nahi milti zindagi ki ye bahar,
Kyunki ishq ka dusra naam hai intezaar.

► Iss suhane mausam me tumhara sath ho,
Garm bistar me kambal odhey tum paas ho,
Mere honth tumhe chhune ko tarsen,
Kash aisa bhi ek ehsaas ho.

► Saath chhod kar gam nahi mujhe,
Gam yeh hai tu meri zindagi me aaya kyun,
Pyar ki iss chhoti si bhool ke liye,
Zindagi bhar mujhe rulaya kyun.

► Mere pyar ko woh samajh nahi paya,
Rote the jab tanha, koi paas nahi aaya,
Mita diya khudko kisi ke pyaar mein,
Log kehte hain mujhe pyar karna nahi aaya.

► Dil ka zakhm zuban pe laya nahin karte,
Hum apni aankhon se aansoo bahaya nahin karte,
Zakhm kitne gehre kyon na ho,
Hum apne hoton se muskurahat hataya nahin karte.

► Aaye they tum hamare dil mein basne ke liye
Hamein hi ujaad kar chal diye
Jab dil ne humse kiye sawaal
Toh hum khud par muskuraakar chal diye.

► Iss dil se teri yaad bhulai nahin jati
Yeh pyar ki daulat hai lutai nahin jati
Iss dil se kaise tumhe bhulaun main
Har roz toh yeh duniya basai nahin jati.

► Waqt guzarta raha par sanse thami si thi,
Muskura rahe the hum, par ankho mein namisi thi,
Saath humare yeh jahan tha saara,
Par na jane kyun kisi ki kami si thi.

► Woh mil jaate hain humein ek kahani bankar,
Dil mein bas jaate hain ek nishaani bankar,
Jinhen hum rakhte hain apni aankhon mein,
Kyun nikal jaate hain in aankhon se woh paani bankar.

► Aaj bahut yaad aa rahe ho tum,
Aankhen band hain phir bhi nazar aa rahe ho tum,
Na jaane kyun aisa lagta hai ki saamne,
Khade hokar mujhe ab tak rula rahe ho tum.

► Zikr jab bhi aap apno ka kiya karen,
Naam hamara bhi unme liya karen,
Tareef nahi toh burayi hi sahi,
Par apne alfazon mein jagah,
Hum ko bhi diya karen.

► Woh roye toh bahut, par mujhse muh mod kar roye,
Koi majburi hogi toh dil tod kar roye,
Mere samne kar diye meri tasweer ke tukde,
Pata chala mere pichhe woh unhe jod kar roye.

► Kadam yunhi dagmaga gaye raaste me,
Warna sambhalna hum bhi jaante the,
Thokar bhi lagi toh uss pathar se,
Jise hum apna mante the.

► Akela sa mehsoos karo jab tanhai me,
Yaad meri aaye jab judai me,
Mehsoos karna tumhare kareeb hun me,
Jab chahe dekh lena apni hi parchhai me.

► Kabhi ro ke muskuraye, kabhi muskura ke roye,
Jab bhi teri yaad aayi tujhe bhula ke roye,
Ek tera hi toh naam tha jise hazar bar likha,
Jitna likh ke khush hue uss se jyada mita ke roye.

► Danishon ki duniya hai saari,
Alfazon ka maidaan hai saara.
Zer aur zabar ko pehchaan na pao,
Toh maidaan me aane ki koshish na karna.

► Dhoka tum na do ab yakeen hame nahi,
Bewafai toh dekh chuke ab wafa ka barosa nahi,
Dosti samajh bhi sako woh akal tum me nahi,
Kar ke muhabbat saza tum saho utna sabar tum me nahi,
Hamari maiyat par tum aao yeh yakeen ab kisi ko nahi.

► Legayi sab kuch magar bas kafan rehne dia,
Yuhi meri zindgi ka aakhri rehnuma rehne dia,
Hum gaye the unko loutane ke liye,
Woh kha ke raham rehne diya.

► Dard se khelna sikh gaye,
Hum bewafai ko jhelna sikh gaye
Ham kya batayen hame zindagi ne
Kis kadar shakt bana diya,
Ki maut se pehle kafan odhna bhi sikh gaye.

► Yaad toh har koi karega jaane ke baad,
Sachche pyar ka pata chal jaayega waqt aane ke baad,
Kaun kitni muhabbat karta hai,
Nazar aajayega mar jaane ke baad.

► Aane ki aahat pe shama jalai hogi,
Kabhi judai ke gam se aakh bhar aayi hogi,
Fikar na kar mere yaar,,,
Uss rabne milne ki koi toh sham banai hogi.

► Manzil kya hai, rasta kya hai,
Hausla hai toh fasla kya hai,
Woh saja dekar door jaa baithe,
Kisse puchhun ki meri khata kya hai.

► Lab pe hi rukti hai baat aate aate,
Neend toh nahi aati sapne bahut hain aate,
Hum toh hain phase ek haseen uljhan mein,
Kaash woh aakar isey suljha jate.

► Kabhi woh samne aa kar mujhe mila bhi nahi,
Main usse baat karun itna hosla bhi nahi,
Woh mangta hai sitaron ki roshni,
Mere paas toh mitti ka ek diya bhi nahi.

► Sari duniya se hum anjaan bane unke liye,
Humse wahi ab anjaan bane bathe hain,
Yeh dil ab aur intezaar mat kar,
Lagta hai woh kisi aur ke mehman bane baithe hain.

► Aaj unko maine khafa kar diya,
Aisa laga jaise khud se daga kar diya,
Unhe kaise manaau sochte rahe din bhar,
Aaj toh aansoo ne bhi aane se mana kar diya.

► Pyar karna koi gunah nahi hota,
Pyar se pyara koi jazba nahi hota,
Pyar ka rishta iss liye chhupana padta hai,
Kyun ki sachcha pyar logo se bardasht nahi hota.

► Nazar chahti hai didaar karna
Dil chahta hai pyaar karna
Kya batayein iss dil ka aalam
Naseeb mein likha hai intezaar karna.

► Jab bhi aapse milne ki taqdeer nazar aayi,
Mujhe paon me bandhi zanjeer nazar aayi,
Teri yaad me nikal pade mere aansu,
Har aansu mein teri tasweer nazar aayi.

► Tamam umar zindagi se door rahe,
Teri khushi ke liye tujse door rahe
Ab iss se badkar wafa ki saza kya hogi,
Ki tere hokar bhi tujse door rahe.

► Log ishq karte hain,
Bade shor ke saath.
Humne bhi kiya,
Bade zor ke saath.
Magar ab karenge,
Thora gaur ke saath.
Kyon ki kal usko dekha,
Kisi aur ke saath.

► Zindagi toh hum bhi jee rahe the,
Taqdeer humari kharab nikli,
Tajmahal hum bhi bana sakte the,
Mumtaz humari bewafa nikli.

► Talaash karo koyi tumhe mil jayega,
Magar humari tarah tumhe kaun chahega,
Zaroor koyi chahat ki nazar se tumhe dekhega,
Magar hamara dil kahan se layega.

► Sirf chahne se koi baat nahi hoti,
Suraj ke samne kabhi raat nahi hoti,
Hum chahte hain jinhe jaan se bhi jyada,
Woh samne hai par baat bhi nahi hoti.

► Hum ruthe toh kiske bharose,
Kaun hai jo aayega hume manane ke liye,
Ho sakta hai taras aa bhi jaye aapko,
Par dil kaha se laaun aapse ruth jane ke liye.

► Kya kahein kuch kaha nahi jaata,
Dard mitha hai par saha nahi jata,
Rishta ban gaya iss qadar aap se,
Bin yaad kiye aapko ab raha nahi jata.

► Dikhakar khwaab in ankhon ko,
De gaye aansu in me tum,
Kaise chhalka dun ye ansu,
Inn me bhi toh rehte ho tum.

► Yun door rehkar duriyon ko badhaya nahi karte,
Apne deewano ko sataya nahi karte,
Har waqt bas jise tumhara khayal ho,
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte.

► Aap ke chahne wale bahot honge,
Lekin hum bhi kuch kum nahi,
Aap ke naam ke siwa hume koi naam yaad nahi,
Aap ko yaad karne ke siwa hume kuch kaam nahi,
Dil karta hai sirf ek baar meri aanke tumhe dekh le
Phir maut bhi aaye toh koi gam nahi….
► Socha tha humne bhul jayenge tum ko,
Phir kabhi yaad na aayenge tum ko,
Dil toh masoom hai chal pada mohabbat ki raha par,
Samajh na paaya tum jaise bewafa ko.

► Hum iss tarha unka ehsaas rakhte hain,
Hazaron yadon ko apne paas rakhte hain,
Khuda naseeb kare har khushi unko,
Woh log jo hum ko udaas rakhte hain.

► Maar kar mujhe qatil gamzada sa lagta hai,
Iss liye to chalte huye thoda larkhadaya hai,
Kash apne dil ki aag ashk se bujha sakte,
Rooth jab gaye aansu usne tab jalaya hai.

► Kuch khabar nahin hum ko apna ya paraya hai,
Dhundne yeh dil jis ko iss gali mein aaya hai
Hum duayein dete hain tum ko phir bhi jan-e-jan,
Magar tum ne iss dil ko bepanah sataya hai.

► Dua karna yaro juda ho rahe hain,
Rahi zindagi toh fir aakhir milenge,
Agar margaye toh dua karte rehna,
Aansoo bahane ki koshish na karna.

► Kagaz pe humne zindagi likh di,
Aansuon se seench kar har khushi likh di,
Dard ko jab humne ubhara lafzo pe,
Logo ne kaha wah kya gazal likh di.

► Kashti ummidon ki gar sahil na paye,
Toh khud doob jane ki koshish na karna.
Kadam pe andhera karegi yeh duniya,
Kahin dil jalane ki koshish na karna.

► Jo dil se kareeb ho usey ruswa nahi karte,
Yun apni muhabbat ka tamasha nahi karte,
Khamosh rahenge toh ghutan aur badhegi,
Apno se koi baat chhupaya nahi karte.

► Kisiko apna banane me der lagti hai,
Ek vaada nibhane me der lagti hai,
Pyar toh pal bhar me ho jata hai,
Magar unhe bhulane me umar lagti hai.

► Pyar kisi se jo karoge ruswai hi milegi,
Wafa kar lo chahe jitni bewafai hi milegi,
Jitna marzi kisi ko apna bana lo,
Jab aankh khulegi tab tanhai hi milegi.

► Kuch beete hue lamho se mulakat hui,
Kuch tute hue sapno se baat hui,
Yaad jo karne baithe un tamam yaado ko,
Toh aapki hi yaado se shruwaat hui.

► Khuda kare ki pyar me kisi ka dil na toote,
Jaise rutha mera sanam kisi aur ka na ruthe,
Rota hai dil aur toot jate hain sapne,
Ankhon ke aansoo bhi nahin hote hain apne.

► Mere pyaar ki woh hadh puchhte hain,
Dil mein kitni jagah hai yeh puchhte hain,
Chahte hain hum unhi ko kyun itna,
Iss ki bhi woh wajah puchhte hain.

► Aaj teri yaad ko seene se laga kar roye,
Apne khuwabo me tujhe paas bula kar roye,
Haazaro baar pukara tujhe tanhaiyon me,
Aur har baar tujhe paas na pa kar roye.

► Tumhe har safar ka kinara milega,
Chamakta hua har sitara milega,
Aayegi chehre par pyari si muskaan,
Sms tumhe jab hamara milega.

► Hum se kabhi zikr judai mat karna,
Iss dil ko kabhi ruswai mat karna,
Tum jaan ho meri bas itna samajh lo,
Meri inn lafzon ko nailaam mat karna.

► Aur kuch nahi chahiye ek muskaan kafi hai,
Dil mein bas ek tamanna hi kafi hai,
Tamanna hai ye ki aap sada khush raho,
Hame yaad rakhna yeh ehsaan hi kafi hai.

► Yaad kar ke mujhe taqleef toh hoti hogi,
Ek kissa hun purana sa bhula de mujh ko,
Dubte dubte aawaaz teri sun jaaun,
Aakhri baar tu saahil se sada de mujh ko.

► Mout ke baad yaad aa raha hai koi,
Mitti mere kabr ki utha raha hai koi,
Aye khuda do pal ki zindagi aur de de,
Mere kabr se udaas ja raha hai koi.

► Kaash hamari bhi parwah kisi ne ki hoti,
Toh ye duniya humse ruswa na ki hoti,
Agar aata aap jaisa muskurana hum ko,
Toh humse bhi kisi ne muhabbat ki hoti.

► Kahin mile toh usey yeh kehna,
Na dil mein koi malaal rakhe,
Hamesha apna khayal rakhe,
Woh apne saare gum mujhko de de,
Tamam khushian sambhal rakhe.

► Meri saansein sirf tere hi naam par chalti hain,
Meri aankhein sirf tujhe hi dekhna chahti hain,
Yun toh aur bhi dost bahut hain mere,
Na jane kyun dil ko sirf teri hi yaad aati hai.

► Dil ko apne har baat se behlaoge fuslaoge
Lekin sokoon o karaar kahin bhi na paoge
Laut kar mere paas jab tak tum na aaoge
Yeh halki si nami palkon me hamesha paoge.

► Raat hogi toh chand dikhai dega
Khwabon me tumhe woh chehra dikhai dega
Muhabbat kabhi zara soch ke karna
Ek aansu bhi girega toh woh bhi sunai dega.

► Koi hansaye toh hans lete hain,
Dil me dard ho toh ro lete hain,
Nind waise bhi kam aati hai,
Par sapno me tum aaoge,
Yeh soch ke so lete hain.

► Mere khwabon me aana aapka kasoor tha,
Aapse dil lagana hamara kasoor tha,
Aap aaye the zindagi me pal do pal ke liye,
Aapko zindagi samajh lena hamara kasoor tha.

► Kaash woh samajhte iss dil ki tadap ko,
Toh yun humein ruswa na kiya hota,
Unki yeh berukhi zulm bhi manzoor thi humein,
Bas ek baar humein samajh liya hota.

► Khuda ki muhabbat fanaa kaun karega,
Sabhi nek ban gaye toh gunah kaun karega,
Aye khuda bewafa sanam ko bachaye rakhna,
Warna hamari kabar par chaadar kaun chadhayega.

► Apki ankhon me ansuon ki jagah na ho.
Mere paas aapko bhulane ki wajah na ho.
Agar bhul jaun kisi tarah se aapko.
Toh khuda kare meri zindagi me agli subah na ho.

► Meri muhabbat hai woh koyi mamuli ladki nahi,
Koyi usey chhede yeh muje bardasht nahi,
Cheer dhenge usey agar woh kehdhe kisi ka naam,
Yeh ek aashiq ka vaaada hai koyi jhooti kasam nahi.

► Tere ishq ne diya sokoon itna,
Ki tere baad koi achha na lage,
Tujhe karni hai bewafai toh iss ada se kar,
Ki tere baad koi bewafa na lage.

► Kadam kadam par baharon ne saath chhod diya,
Pada jab waqt toh apno ne haath chhod diya.
Kasam khai thi in sitaron ne saath dene ki,
Subah hote hi sitaaron ne bhi saath chhod diya.

► Muskaan tere hoton se kabhi jaaye na,
Aansoo tere palkon pe kabhi aaye na,
Poora ho tera har khwaab,
Aur jo poora na ho woh khwaab kabhi aaye na.

► Unki julfo ke tale hum zamana bhula dete hain,
Woh ek nazar se kitne armaan jaga dete hain,
Ishq toh unko bhi hai humse yeh jaante hain hum,
Phir bhi na keh kar kyon woh iss dil ko saza dete hain.

► Apno ne zeher ka jaam de diya,
Gairon ne bewafa naam de diya.
Wo jo kehte the bhul na jana hume,
Aaj unhone hi bhari mehfil me,
Hum ko ajnabi aur anjaan keh diya.

► Guzri hui zindagi ko kabhi yaad na kar,
Kismat mein jo likha hai uski fariyaad na kar,
Jo hona hai woh ho kar rahega,
Tu fikr mein apni hansi barbaad na kar.

► Hamne apni sanso par unka naam likh liya,
Nahi jante the ki humne kuch galat kiya,
Woh pyaar ka vaada humse karke mukar gaye,
Khair unki bewafai se kuch toh sabak liya.

► Socha yad na karke thoda tadpaye unko,
Kisi aur ka naam lekar jalaye unko,
Par koi chot unko lagi toh dard hame hoga,
Ab koi ye bataye ki kis tarah satayein unko.

► Ho sakta hai ki hum saath reh na payen,
Ek dusre se kuch keh na payen,
Itni nazdikyan mat badhaiye humse,
Ki hum dooriyon ko seh na payen.

► Door hain aap se toh koi gam nahi,
Dur rehkar bhi bhulane wale hum nahi,
Roz mulakat na ho paye toh kya,
Aap ki yaad mulakat se kam nahi.

► Hum aapki yaad me udaas hain,
Bas aapse milne ki aas hai,
Chahe dost kitne bhi kyun na ho,
Apne liye toh bas aap hi khaas hain.

► Jab bhi teri yaad aati hai naam likhta hun,
Jab takya per sar hota hai mehsoos karta hun,
Ya rab de un ko sabr-e-jameel  aur humko chain,
Woh juda huwe hain jab se na hai kisi ko sukoon.

► Phoolon mein ab wo nami na hogi,
Haseeno ki ab kami na hogi,
Chhaya hai sab pe pyaar ka junoon,
Par meri priya jaisi sundar koi na hongi.

► Chaho toh dil se hame mita dena,
Chaho toh humko bhula dena,
Par yeh vaada karo aye dost,
Ki jab yaad aaye hamari toh,
Rona mat bas muskura dena.

► Jaan se bhi jyada unhe pyar kiya karte the,
Yaad unhe din raat kiya karte the,
Ab un raho se guzra nahi jata,
Jahan baith kar unka intezaar kiya karte the.

► Kash khuda ne hume aansoo banaya hota,
Uss bewafa ki aankh me basaya hota,
Jab girte aankh se unki toh,
Marne ka maza toh aaya hota.

► Dariya wafaon ka kabhi rukta nahi,
Muhabbat me insaan kabhi jukta nahi,
Hum chup hain kisi ki khushi ke liye,
Aur woh sochte hain dil hamara dukhta hi nahi.